Monday, April 23, 2012

Arz 2

Aao meri aaghosh mein..... Mujhse kuch baatein karo... Kuch main kahun kuch tum kaho... Raat bahut lambi hai... Phir bhi Waqt najane kyon lagta hai kam.... Aao yeh pal bitayein sang.. Kuch tum kaho kuch hum...


Aankhon mein khwaab hain naye... Kuch puraane jo humne saath the dekhe... Aao kuch pal aur saath bitaayein.. Dekhein yeh naye khwaab kya rang laayein


Kuch unginat kahaaniyaan hain tumhari... kuch unkahin.. kuch unsuni... Main hun yahaan ki jaan sakun tumhara har pahlu, tum shuru karo sunani..


Iss baat ki fiqr na ho ki sochne wala kya sochega.. Tum kaho dil ki har baat bedhadak... Mazaa to kaafiye ka tab hai.... Jab labzon ke teer chale bejhijak...

Arz kiya hai....

Aaj achi lag rahi hai har ek dhun... Kya gaaye yeh dil tu bhi to sun... Dil mein anginat armaan umad rahe hain... Mujhse yeh kuch baatein kar rahe hain...


Baithun paed ki sabsi unchi tehni pe... Jhulun uss tehni pe hawa ke sang... Niklu bina tay kare kahaan, ek lambi saer pe... Daalun iss zindagi mein naye kuch rang...


Na koi rok, aur na kisi ki tok... Bas mann chahi baatein, aur mann chahe log... Sapno se pare ek lambi neend... Bas itni si hai ummeed...


Aankhon mein bhari shararat... Dil ko gudgudati hassi... Chehre pe liye halki si ek muskaan... Bas Yun hi hun main aaj liye kuch armaan...